Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke qirtas pe ek lafz mohabbat likhna

Fahmida Mosarrat Ahmad

dil ke qirtas pe ek lafz mohabbat likhna

Fahmida Mosarrat Ahmad

MORE BYFahmida Mosarrat Ahmad

    dil ke qirtās pe ik lafz mohabbat likhnā

    jo kabhī ishq meñ thī vo riyāzat likhnā

    likhne baiTho jo kabhī dil hikāyat koī

    naam us meñ mirā tum hasb-e-rivāyat likhnā

    pañkhuḌī phuul lab aañkh hai gahrā sāgar

    abrū haiñ teġh se aur chaal qayāmat likhnā

    bhūlne vaale agar yaad kabhī aa jā.ūñ

    bhīgī palkoñ se faqat ashk-e-nadāmat likhnā

    vaise aḳhlāq do chaar kitābeñ paḌh kar

    ham ko aatā nahīñ harf-e-siyāsat likhnā

    tire hāthoñ ko jo mālik ne qalam sauñpā hai

    jhuuT ko jhuuT sadāqat ko sadāqat likhnā

    tum jinheñ kahte ho kāfar unheñ aa kar dekho

    kaise karte haiñ ye insān ḳhidmat likhnā

    ai ġham-e-ishq mire paañv ke chhāle gin kar

    dasht-e-ulfat ye majbūr masāfat likhnā

    yaad hai pahlī mohabbat ḳhumārī ab tak

    vo daraḳhtoñ pe tirā naam 'masarrat' likhnā

    dil ke qirtas pe ek lafz mohabbat likhna

    jo kabhi ishq mein ki thi wo riyazat likhna

    likhne baiTho jo kabhi dil ki hikayat koi

    nam us mein mera tum hasb-e-riwayat likhna

    pankhuDi phul ki lab aankh hai gahra sagar

    abru hain tegh se aur chaal qayamat likhna

    bhulne wale agar yaad kabhi aa jaun

    bhigi palkon se faqat ashk-e-nadamat likhna

    waise aKHlaq ki do chaar kitaben paDh kar

    hum ko aata hi nahin harf-e-siyasat likhna

    tere hathon ko jo malik ne qalam saunpa hai

    jhuT ko jhuT sadaqat ko sadaqat likhna

    tum jinhen kahte ho kafar unhen aa kar dekho

    kaise karte hain ye insan ki KHidmat likhna

    ai gham-e-ishq mere panw ke chhaale gin kar

    dasht-e-ulfat ki ye majbur masafat likhna

    yaad hai pahli mohabbat ki KHumari ab tak

    wo daraKHton pe tera nam 'masarrat' likhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now