dil ke sahra mein baDe zor ka baadal barsa
dil ke sahrā meñ baḌe zor kā bādal barsā
itnī shiddat se koī raat mujhe yaad aayā
jis se ik umr rahā da.avā-e-qurbat mujh ko
haa.e us ne na kabhī aañkh uThā kar dekhā
to mirī manzil-e-maqsūd hai lekin nāpaid
maiñ tirī dhun meñ shab-o-roz bhaTakne vaalā
phail jaatā tire hoñToñ pe tabassum kī tarah
kaash hālāt kā pahlū kabhī ho aisā
kitnī shiddat se tire āriz-o-lab yaad aa.e
jab sar-e-shām ufuq par koī taara chamkā
ab ke is taur se aa.ī thī gulistāñ meñ bahār
dāman-e-shāḳh meñ sūkhā huā pattā bhī na thā
dāstāñ ġham kī use 'tāb' sunāte kyuuñ ho
kab rag-e-sañg se ḳhuuñ kā kabhī dhārā niklā
dil ke sahra mein baDe zor ka baadal barsa
itni shiddat se koi raat mujhe yaad aaya
jis se ek umr raha dawa-e-qurbat mujh ko
hae us ne na kabhi aankh uTha kar dekha
to meri manzil-e-maqsud hai lekin napaid
main teri dhun mein shab-o-roz bhaTakne wala
phail jata tere honTon pe tabassum ki tarah
kash haalat ka pahlu kabhi ho aisa
kitni shiddat se tere aariz-o-lab yaad aae
jab sar-e-sham ufuq par koi tara chamka
ab ke is taur se aai thi gulistan mein bahaar
daman-e-shaKH mein sukha hua patta bhi na tha
dastan gham ki use 'tab' sunate kyun ho
kab rag-e-sang se KHun ka kabhi dhaara nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.