dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak
dil ke sahrā par dete haiñ jab ashkoñ ke sāgar dastak
ruuh ke sannāTe meñ suntā huuñ maiñ andar bāhar dastak
ab tak har shab sote sote chauñk uThtā huuñ tanhā.ī meñ
muddat biitī maiñ ne sunī thī ik shab apne dar par dastak
shaam kā Dhaltā sūraj duur ufuq par Thahrā soch rahā hai
kab shab biite aur vo de phir sub.h ke darvāze par dastak
bhīgī shab ke sannāTe meñ aise is kā dhyān aatā hai
jaise kisī tālāb ke paanī par detā hai kañkar dastak
ab tak zehn pe mañDlātī hai dukh sī piilī shaam salonī
dil meñ aas nirās kī uljhan maiñ tanhā is kā dar dastak
abhī to ummīdoñ ne shīsh mahal meñ rahne kī sochī thī
abhī se kyoñ dete haiñ dar par mahrūmī ke patthar dastak
tan kā ḳhālī bartan chhan se baj uThThā āzād jab us ne
is par ik shab de dī pahan kar ik ḳhvāhish kī jhāñjhar dastak
dil ke sahra par dete hain jab ashkon ke sagar dastak
ruh ke sannaTe mein sunta hun main andar bahar dastak
ab tak har shab sote sote chaunk uThta hun tanhai mein
muddat biti main ne suni thi ek shab apne dar par dastak
sham ka Dhalta suraj dur ufuq par Thahra soch raha hai
kab shab bite aur wo de phir subh ke darwaze par dastak
bhigi shab ke sannaTe mein aise is ka dhyan aata hai
jaise kisi talab ke pani par deta hai kankar dastak
ab tak zehn pe manDlati hai dukh si pili sham saloni
dil mein aas niras ki uljhan main tanha is ka dar dastak
abhi to ummidon ne shish mahal mein rahne ki sochi thi
abhi se kyon dete hain dar par mahrumi ke patthar dastak
tan ka KHali bartan chhan se baj uThTha aazad jab us ne
is par ek shab de di pahan kar ek KHwahish ki jhanjhar dastak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.