dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar
dil ke shajar ko ḳhuun se gulnār dekh kar
ḳhush huuñ na.ī bahār ke āsār dekh kar
sahrā bhale ki zehn ko kuchh to sukūñ mile
ghabrā gayā huuñ shahr ke bāzār dekh kar
aage baḌhe to tīrgī-e-shab ne aa liyā
nikle the ghar se sub.h ke āsār dekh kar
aañsū gire to dil kī zamīñ aur jal uThī
barsā hai abr ḳhaak kā me.aar dekh kar
saare jahāñ ko halqa-e-mātam samajh liyā
apnā vajūd nuqta-e-parkār dekh kar
auroñ ko tū ne daulat-e-kaunain baañT dī
ġham mujh ko de diyā hai sazā-vār dekh kar
baiThe to aañch dene lagī pīpaloñ kī chhāñv
aa.e the log sāya-e-ashjār dekh kar
jis tarah koī bachhḌā huā dost mil gayā
ham muskurā diye rasan-o-dār dekh kar
baiThā huuñ apne fikr ke saa.e meñ der se
har āshnā ko un kā taraf-dār dekh kar
'zulfī' dukhoñ kī dhuup meñ jalte hue badan
bādal guzar gayā hai ka.ī baar dekh kar
dil ke shajar ko KHun se gulnar dekh kar
KHush hun nai bahaar ke aasar dekh kar
sahra bhale ki zehn ko kuchh to sukun mile
ghabra gaya hun shahr ke bazar dekh kar
aage baDhe to tirgi-e-shab ne aa liya
nikle the ghar se subh ke aasar dekh kar
aansu gire to dil ki zamin aur jal uThi
barsa hai abr KHak ka mear dekh kar
sare jahan ko halqa-e-matam samajh liya
apna wajud nuqta-e-parkar dekh kar
auron ko tu ne daulat-e-kaunain banT di
gham mujh ko de diya hai saza-war dekh kar
baiThe to aanch dene lagi pipalon ki chhanw
aae the log saya-e-ashjar dekh kar
jis tarah koi bachhDa hua dost mil gaya
hum muskura diye rasan-o-dar dekh kar
baiTha hun apne fikr ke sae mein der se
har aashna ko un ka taraf-dar dekh kar
'zulfi' dukhon ki dhup mein jalte hue badan
baadal guzar gaya hai kai bar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.