dil ke taron ko hila deti hai aawaz teri
dil ke tāroñ ko hilā detī hai āvāz tirī
ik nayā dard jagā detī hai āvāz tirī
ek tālāb huuñ aisā ki jahāñ yādeñ haiñ
is meñ kankar sā girā detī hai āvāz tirī
tū hai dariyā to kahīñ duur chalā jā mujh se
tishnagī aur baḌhā detī hai āvāz tirī
maiñ to āvāz meñ hotā huuñ ma.ānī kī tarah
aur āvāz lagā detī hai āvāz tirī
phir lapak aur bhī baḌh jaatī hai us ke kāran
sho.ala-e-jāñ ko havā detī hai āvāz tirī
barsoñ pahle bhī sunī thī yahī āvāz kahīñ
fāsloñ ko to miTā detī hai āvāz tirī
dast-gīrī bhī to kartī hai hamesha merī
girne lagtā huuñ uThā detī hai āvāz tirī
TūTne lagtā hai andar se kahīñ 'ahsan' bhī
ek halchal sī machā detī hai āvāz tirī
dil ke taron ko hila deti hai aawaz teri
ek naya dard jaga deti hai aawaz teri
ek talab hun aisa ki jahan yaaden hain
is mein kankar sa gira deti hai aawaz teri
tu hai dariya to kahin dur chala ja mujh se
tishnagi aur baDha deti hai aawaz teri
main to aawaz mein hota hun maani ki tarah
aur aawaz laga deti hai aawaz teri
phir lapak aur bhi baDh jati hai us ke karan
shoala-e-jaan ko hawa deti hai aawaz teri
barson pahle bhi suni thi yahi aawaz kahin
faslon ko to miTa deti hai aawaz teri
dast-giri bhi to karti hai hamesha meri
girne lagta hun uTha deti hai aawaz teri
TuTne lagta hai andar se kahin 'ahsan' bhi
ek halchal si macha deti hai aawaz teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.