dil ke tain pyar dikhana KHub nain
dil ke ta.iiñ pyaar dikhānā ḳhuub na.iiñ
jin ne dil toḌā so koiiñ mahbūb na.iiñ
tum binā jo roz-o-shab guzāre haiñ
umr ke daftar meñ vo mahsūb na.iiñ
be-sabab begāngī karte ho kyoñ
āshnā.ī kā to ye uslūb na.iiñ
halqa-e-mardoñ meñ vo nāmard hai
duḳhtar-e-raz señ jo koī mansūb na.iiñ
raah hai pur-ḳhār 'arshad' ishq kī
be-tāmmul paañv rakhnā ḳhuub na.iiñ
dil ke tain pyar dikhana KHub nain
jin ne dil toDa so koin mahbub nain
tum bina jo roz-o-shab guzare hain
umr ke daftar mein wo mahsub nain
be-sabab begangi karte ho kyon
aashnai ka to ye uslub nain
halqa-e-mardon mein wo namard hai
duKHtar-e-raz sen jo koi mansub nain
rah hai pur-KHar 'arshad' ishq ki
be-tammul panw rakhna KHub nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.