dil ke waraq-e-sada pe kuchh rang ubhaaren
dil ke varaq-e-sāda pe kuchh rañg ubhāreñ
ḳhūñ-gashta tamannāoñ kī tasvīr utāreñ
shāyad koī rauzan koī khiḌkī nikal aa.e
sar apnā chalo vaqt kī dīvār se māreñ
kab tak dil-e-dīvāna ye be-vajah ta.āqub
ab haath kahāñ ā.eñgī ram-karda bahāreñ
barham huī vo mahfil-e-yārān-e-ḳhush-auqāt
tanhā.ī ke lamhāt kahāñ jā ke guzāreñ
āñgan kī udāsī ko fuzūñ kar ga.iiñ 'maḳhmūr'
dīvār pe baiThī huī chiḌiyoñ kī qatāreñ
dil ke waraq-e-sada pe kuchh rang ubhaaren
KHun-gashta tamannaon ki taswir utaren
shayad koi rauzan koi khiDki nikal aae
sar apna chalo waqt ki diwar se maren
kab tak dil-e-diwana ye be-wajah taaqub
ab hath kahan aaengi ram-karda bahaaren
barham hui wo mahfil-e-yaran-e-KHush-auqat
tanhai ke lamhat kahan ja ke guzaren
aangan ki udasi ko fuzun kar gain 'maKHmur'
diwar pe baiThi hui chiDiyon ki qataren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.