dil ke viran raste bhi dekh
dil ke vīrān rāste bhī dekh
aañkh kī maar se pare bhī dekh
chaar sū gūñjte haiñ sannāTe
kabhī sunsān maqbare bhī dekh
kāñptī haiñ laveñ charāġhoñ kī
raushnī ko qarīb se bhī dekh
sozish-e-furqat-e-musalsal se
aañch dete haiñ qahqahe bhī dekh
band hoñToñ kī naġhmagī bhī sun
sotī āñkhoñ ke ratjage bhī dekh
dekhnā ho agar kamāl apnā
ā.īna dekh kar mujhe bhī dekh
dil ke viran raste bhi dekh
aankh ki mar se pare bhi dekh
chaar su gunjte hain sannaTe
kabhi sunsan maqbare bhi dekh
kanpti hain lawen charaghon ki
raushni ko qarib se bhi dekh
sozish-e-furqat-e-musalsal se
aanch dete hain qahqahe bhi dekh
band honTon ki naghmagi bhi sun
soti aankhon ke ratjage bhi dekh
dekhna ho agar kamal apna
aaina dekh kar mujhe bhi dekh
- Book : Rag-e-jan (Pg. 63)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.