dil ke zaKHm dikhaen kya
dil ke zaḳhm dikhā.eñ kyā
ā.īna ban jaa.eñ kyā
lauT ke buddhū ghar ko aa.e
ham bhī vāpas aa.eñ kyā
chāk-garebāñ ghūmeñ kyoñ ham
dīvāne kahlā.eñ kyā
saarī virāsat bech chuke haiñ
ek zamīr bachā.eñ kyā
phir Thokar meñ duniyā hogī
phir kambal phailā.eñ kyā
ham-sā.e ke ghar meñ faaqa
khā-pī kar so jaa.eñ kyā
saarī duniyā raushan karne
dil ke daaġh jalā.eñ kyā
'nazr' kī parda-dārī samjho
ab nañge ho jaa.eñ kyā
dil ke zaKHm dikhaen kya
aaina ban jaen kya
lauT ke buddhu ghar ko aae
hum bhi wapas aaen kya
chaak-gareban ghumen kyon hum
diwane kahlaen kya
sari wirasat bech chuke hain
ek zamir bachaen kya
phir Thokar mein duniya hogi
phir kambal phailaen kya
ham-sae ke ghar mein faqa
kha-pi kar so jaen kya
sari duniya raushan karne
dil ke dagh jalaen kya
'nazr' ki parda-dari samjho
ab nange ho jaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.