dil ke zaKHm jalte hain dil ke zaKHm jalne do
dil ke zaḳhm jalte haiñ dil ke zaḳhm jalne do
ham ko Thokareñ khā kar aap hī sambhalne do
raushnī fasīloñ ko toḌ kar bhī aa.egī
raat kī siyāhī ko karvaTeñ badalne do
sā.ebāñ kī ḳhvāhish meñ ik safar huuñ sahrā kā
jism-o-jāñ pighalte haiñ jism-o-jāñ pighalne do
pattharoñ kī choToñ se aa.ino na ghabrāo
hādsoñ ke āñgan meñ zindagī ko palne do
ġham kī dhuup meñ jal kar rah ga.ī har ik chhāñv
ham ko apnī chāhat ke saa.e saa.e chalne do
dil ke zaKHm jalte hain dil ke zaKHm jalne do
hum ko Thokaren kha kar aap hi sambhalne do
raushni fasilon ko toD kar bhi aaegi
raat ki siyahi ko karwaTen badalne do
saeban ki KHwahish mein ek safar hun sahra ka
jism-o-jaan pighalte hain jism-o-jaan pighalne do
pattharon ki choTon se aaino na ghabrao
hadson ke aangan mein zindagi ko palne do
gham ki dhup mein jal kar rah gai har ek chhanw
hum ko apni chahat ke sae sae chalne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.