dil ke zaKHmon ka kuchh kya na karo
dil ke zaḳhmoñ kā kuchh kyā na karo
chaak ho jaa.e to siyā na karo
ḳhvāb hote haiñ dekhne ke liye
un meñ jā ke sanam jiyā na karo
jise tum chhoḌ aa.e ho vo shahr
use ab yaad tum kiyā na karo
raah meñ chhoḌ kar chalā jo gayā
naam us shaḳhs kā liyā na karo
baḌe ādāb haiñ mushā.ere ke
kabhī vaqt-e-suḳhan piyā na karo
itnā kam-zarf vo nahīñ 'māham'
use tum mashvare diyā nā karo
dil ke zaKHmon ka kuchh kya na karo
chaak ho jae to siya na karo
KHwab hote hain dekhne ke liye
un mein ja ke sanam jiya na karo
jise tum chhoD aae ho wo shahr
use ab yaad tum kiya na karo
rah mein chhoD kar chala jo gaya
nam us shaKHs ka liya na karo
baDe aadab hain mushaere ke
kabhi waqt-e-suKHan piya na karo
itna kam-zarf wo nahin 'maham'
use tum mashware diya na karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.