dil ke zaKHmon ko aashkar na kar
dil ke zaḳhmoñ ko āshkār na kar
dāman-e-ishq dāġh-dār na kar
ġhair ke dar pe sar jhuke yā-rab
mujh ko itnā zalīl-o-ḳhvār na kar
maiñ uḳhuvvat pasand huuñ lekin
buz-diloñ meñ mirā shumār na kar
un kī fitrat badal nahīñ saktī
shar-pasandoñ kā e.atibār na kar
sirf lafzoñ ke tiir kaafī haiñ
ḳhanjaroñ ko diloñ ke paar na kar
tū agar sher hai to sāmne aa
chhup ke ḳhargosh kā shikār na kar
āḳhirat kī bhī fikr kar 'nāzim'
TuuT kar zindagī se pyaar na kar
dil ke zaKHmon ko aashkar na kar
daman-e-ishq dagh-dar na kar
ghair ke dar pe sar jhuke ya-rab
mujh ko itna zalil-o-KHwar na kar
main uKHuwwat pasand hun lekin
buz-dilon mein mera shumar na kar
un ki fitrat badal nahin sakti
shar-pasandon ka eatibar na kar
sirf lafzon ke tir kafi hain
KHanjaron ko dilon ke par na kar
tu agar sher hai to samne aa
chhup ke KHargosh ka shikar na kar
aaKHirat ki bhi fikr kar 'nazim'
TuT kar zindagi se pyar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.