dil khicha jata hai KHud hi ku-e-jaanan ki taraf
dil khichā jaatā hai ḳhud hī kū-e-jānāñ kī taraf
dekhiye dekhā bhī jaa.e rū-e-jānāñ kī taraf
āsmāñ par māh-e-nau kā'be meñ mehrāb-e-haram
ye ishāre haiñ ḳham-e-abru-e-jānāñ kī taraf
husn tak pahuñchā hai ġham kā silsila bhī 'ishq meñ
barhamī dil kī chalī gesū-e-jānāñ kī taraf
ek hī manzil pe jā kar mil ga.e donoñ 'zahīn'
vo chale sū-e-haram ham kū-e-jānāñ kī taraf
dil khicha jata hai KHud hi ku-e-jaanan ki taraf
dekhiye dekha bhi jae ru-e-jaanan ki taraf
aasman par mah-e-nau ka'be mein mehrab-e-haram
ye ishaare hain KHam-e-abru-e-jaanan ki taraf
husn tak pahuncha hai gham ka silsila bhi 'ishq mein
barhami dil ki chali gesu-e-jaanan ki taraf
ek hi manzil pe ja kar mil gae donon 'zahin'
wo chale su-e-haram hum ku-e-jaanan ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.