Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil khol kar hansen na to aansu bahaen log

Nusrat Ateeq Gorakhpur

dil khol kar hansen na to aansu bahaen log

Nusrat Ateeq Gorakhpur

MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur

    dil khol kar hañseñ na to aañsū bahā.eñ log

    chīḳhoñ ko phir batāo ki kaise dabā.eñ log

    rahnā paḌegā aise tā-zindagī hameñ

    jo din guzar ga.e haiñ unheñ bhuul jaa.eñ log

    lāshoñ ke is hujūm meñ ik fikr ye bhī hai

    kis ko utāreñ qabr meñ kis ko jalā.eñ log

    pahle to dil se dil ko milāne baat thī

    ab hukm ye huā hai ki duurī banā.eñ log

    āsār-e-zindagī nahīñ zindagī meñ kuchh

    jab dil bujh gayā ho to kyā muskurā.eñ log

    bhūle se bhī na bhūlegā san do hazār biis

    jo dil pe naqsh ho gayā kaise miTā.eñ log

    tum ko ḳhudā ne hai jo lafzoñ saltanat

    aisī ġhazal kaho ke jise gungunā.eñ log

    rakhte nahīñ ho rishta kisī se bhī tum magar

    ummīd ye ki tum se rishta nibhā.eñ log

    daulat se bhī sukūn mayassar nahīñ huā

    'nusrat' mashvara hai ki nekī kamā.eñ log

    dil khol kar hansen na to aansu bahaen log

    chiKHon ko phir batao ki kaise dabaen log

    rahna paDega aise hi ta-zindagi hamein

    jo din guzar gae hain unhen bhul jaen log

    lashon ke is hujum mein ek fikr ye bhi hai

    kis ko utaren qabr mein kis ko jalaen log

    pahle to dil se dil ko milane ki baat thi

    ab hukm ye hua hai ki duri banaen log

    aasar-e-zindagi hi nahin zindagi mein kuchh

    jab dil hi bujh gaya ho to kya muskuraen log

    bhule se bhi na bhulega san do hazar bis

    jo dil pe naqsh ho gaya kaise miTaen log

    tum ko KHuda ne di hai jo lafzon ki saltanat

    aisi ghazal kaho ke jise gungunaen log

    rakhte nahin ho rishta kisi se bhi tum magar

    ummid ye ki tum se hi rishta nibhaen log

    daulat se bhi sukun mayassar nahin hua

    'nusrat' ka mashwara hai ki neki kamaen log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now