dil khol kar hansen na to aansu bahaen log
dil khol kar hansen na to aansu bahaen log
Nusrat Ateeq Gorakhpur
MORE BYNusrat Ateeq Gorakhpur
dil khol kar hañseñ na to aañsū bahā.eñ log
chīḳhoñ ko phir batāo ki kaise dabā.eñ log
lāshoñ ke is hujūm meñ ik fikr ye bhī hai
kis ko utāreñ qabr meñ kis ko jalā.eñ log
pahle to dil se dil ko milāne kī baat thī
ab hukm ye huā hai ki duurī banā.eñ log
rahnā paḌegā aise hī tā-zindagī hameñ
jo din guzar ga.e haiñ unheñ bhuul jaa.eñ log
āsār-e-zindagī hī nahīñ zindagī meñ kuchh
jab dil hī bujh gayā ho to kyā muskurā.eñ log
bhūle se bhī na bhūlegā san do hazār biis
jo dil pe naqsh ho gayā kaise miTā.eñ log
daulat se bhī sukūn mayassar nahīñ huā
'nusrat' kā mashvara hai ki nekī kamā.eñ log
dil khol kar hansen na to aansu bahaen log
chiKHon ko phir batao ki kaise dabaen log
lashon ke is hujum mein ek fikr ye bhi hai
kis ko utaren qabr mein kis ko jalaen log
pahle to dil se dil ko milane ki baat thi
ab hukm ye hua hai ki duri banaen log
rahna paDega aise hi ta-zindagi hamein
jo din guzar gae hain unhen bhul jaen log
aasar-e-zindagi hi nahin zindagi mein kuchh
jab dil hi bujh gaya ho to kya muskuraen log
bhule se bhi na bhulega san do hazar bis
jo dil pe naqsh ho gaya kaise miTaen log
daulat se bhi sukun mayassar nahin hua
'nusrat' ka mashwara hai ki neki kamaen log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.