dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
dil ḳhush na huā zulf-e-pareshāñ se nikal kar
pachhtā.e ham is shām-e-ġharībāñ se nikal kar
ye us se ziyāñ-kār to vo is se bad aa.eñ
jā.ūñ maiñ kahāñ gabr o musalmāñ se nikal kar
ustād koī zor milā qais ko shāyad
lī raah jo jangal kī dabistāñ se nikal kar
mā'lūm nahīñ mujh ko ki jāvegā kidhar ko
yuuñ siina tirā chāk-e-garebāñ se nikal kar
guzrā rag-e-gardan se ki juuñ sham' sar apnā
talvār hī khātā hai garebāñ se nikal kar
nā-zorī meñ aayā na kabhū tā-sar-e-mizhgāñ
yak qatra-e-ḳhūñ bhī bun-e-mizhgāñ se nikal kar
tīroñ meñ kamāñ-dār mirā gher le jis ko
vo jaane na paave kabhī maidāñ se nikal kar
ham aap fanā ho ga.e ai hasti-e-mauhūm
juuñ mauj-e-tabassum lab-e-jānāñ se nikal kar
sūrat ke tirī sāmne rah jaa.e hai kaise
har but kī nigah dīda-e-hairāñ se nikal kar
us dast-e-hinā.ī meñ rahā ā.īna aksar
dariyā na gayā panja-e-marjāñ se nikal kar
ab paḌh vo ġhazal 'mus.hafī' tū shusta o rafta
sunñe jise ḳhalq aa.e safāhāñ se nikal kar
dil KHush na hua zulf-e-pareshan se nikal kar
pachhtae hum is sham-e-ghariban se nikal kar
ye us se ziyan-kar to wo is se bad aaen
jaun main kahan gabr o musalman se nikal kar
ustad koi zor mila qais ko shayad
li rah jo jangal ki dabistan se nikal kar
ma'lum nahin mujh ko ki jawega kidhar ko
yun sina tera chaak-e-gareban se nikal kar
guzra rag-e-gardan se ki jun sham' sar apna
talwar hi khata hai gareban se nikal kar
na-zori mein aaya na kabhu ta-sar-e-mizhgan
yak qatra-e-KHun bhi bun-e-mizhgan se nikal kar
tiron mein kaman-dar mera gher le jis ko
wo jaane na pawe kabhi maidan se nikal kar
hum aap fana ho gae ai hasti-e-mauhum
jun mauj-e-tabassum lab-e-jaanan se nikal kar
surat ke teri samne rah jae hai kaise
har but ki nigah dida-e-hairan se nikal kar
us dast-e-hinai mein raha aaina aksar
dariya na gaya panja-e-marjaan se nikal kar
ab paDh wo ghazal 'mushafi' tu shusta o rafta
sunne jise KHalq aae safahan se nikal kar
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 141)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.