dil KHwab mein ye dekh ke ghamgin raha hai
dil ḳhvāb meñ ye dekh ke ġhamgīn rahā hai
maiñ terā huuñ aur koī mujhe chhīn rahā hai
phir tū mire dil ko milā īmān kī sūrat
barsoñ mirā dil kāfir-o-be-dīn rahā hai
tā-umr vahī shaḳhs rahā jī kī jalan bhī
tā-umr vahī bā.is-e-taskīn rahā hai
us shaḳhs se algāv mujhe kufr hai logo
īmān rahā hai vo mirā diin rahā hai
ai dil na muāfī na koī rahm kī ummīd
is baar tirā jurm hī sangīn rahā hai
dil KHwab mein ye dekh ke ghamgin raha hai
main tera hun aur koi mujhe chhin raha hai
phir tu mere dil ko mila iman ki surat
barson mera dil kafir-o-be-din raha hai
ta-umr wahi shaKHs raha ji ki jalan bhi
ta-umr wahi bais-e-taskin raha hai
us shaKHs se algaw mujhe kufr hai logo
iman raha hai wo mera din raha hai
ai dil na muafi na koi rahm ki ummid
is bar tera jurm hi sangin raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.