dil ki aaraish-e-alam ka tamasha dekhe
dil ki ārā.ish-e-ālam kā tamāshā dekhe
gar kabhī ḳhud pe nazar jaa.e to sahrā dekhe
aañkh vo aañkh jo har qatre meñ dariyā dekhe
tū magar sāmne aa jaa.e to phir kyā dekhe
ḳhvāb meñ ho to ye dil dekhe tirī diid ke ḳhvāb
ḳhvāb se jaage to ik ḳhvāb sī duniyā dekhe
jo samajhtā hai ki khul jaatā hai fariyād se baḳht
sū-e-aflāk kabhī haath vo phailā dekhe
ibtilā meñ haiñ sabhī rāh-rav-e-manzil-e-shauq
kis ko fursat ki mire paañv kā kāñTā dekhe
'arsh' agar lafz-o-ma.ānī ke ho tum paiġhambar
ek tasvīr banā jaao ki duniyā dekhe
dil ki aaraish-e-alam ka tamasha dekhe
gar kabhi KHud pe nazar jae to sahra dekhe
aankh wo aankh jo har qatre mein dariya dekhe
tu magar samne aa jae to phir kya dekhe
KHwab mein ho to ye dil dekhe teri did ke KHwab
KHwab se jage to ek KHwab si duniya dekhe
jo samajhta hai ki khul jata hai fariyaad se baKHt
su-e-aflak kabhi hath wo phaila dekhe
ibtila mein hain sabhi rah-raw-e-manzil-e-shauq
kis ko fursat ki mere panw ka kanTa dekhe
'arsh' agar lafz-o-maani ke ho tum paighambar
ek taswir bana jao ki duniya dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.