dil ki aab-o-hawa udasi hai
dil kī āb-o-havā udāsī hai
dhaḌkanoñ kī sadā udāsī hai
ho ke nākām chārāgar bolā
'āshiqī meñ davā udāsī hai
baa'd aa.e sharāb bhī us ke
yuuñ ki pahlā nasha udāsī hai
zindagī meñ udāsī hai kitnī
zindagī hai bhī yā udāsī hai
maiñ ne dekhā hai bārhā hañs kar
yaar har martaba udāsī hai
kaun sā jurm ho gayā ham se
jaane kis kī sazā udāsī hai
dil ki aab-o-hawa udasi hai
dhaDkanon ki sada udasi hai
ho ke nakaam chaaragar bola
'ashiqi mein dawa udasi hai
ba'd aae sharab bhi us ke
yun ki pahla nasha udasi hai
zindagi mein udasi hai kitni
zindagi hai bhi ya udasi hai
main ne dekha hai barha hans kar
yar har martaba udasi hai
kaun sa jurm ho gaya hum se
jaane kis ki saza udasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.