dil ki aawaz jo alfaz mein Dhaali hui hai
dil kī āvāz jo alfāz meñ Dhālī huī hai
ārzūoñ ke chaman-zār kī paalī huī hai
ham asīrān-e-mohabbat haiñ hameñ kyā ma.alūm
kis kī dastār sar-e-bazm uchhālī huī hai
har taraf dār-o-rasan ke haiñ marākiz to raheñ
sarfaroshoñ se ye duniyā kahīñ ḳhālī huī hai
us kī tah meñ haiñ nihāñ saiñkaḌoñ andāz-e-fusūñ
rasm-e-taqrīb jo mahfil se nikālī huī hai
ḳhvāb-o-ta.abīr kī raqsinda shagufta sī kalī
dāman-e-shauq meñ muddat se sañbhālī huī hai
ḳhvāh ġhairoñ se ho yā apne azīzoñ se 'kamāl'
guftugū merī huī hai to misālī huī hai
dil ki aawaz jo alfaz mein Dhaali hui hai
aarzuon ke chaman-zar ki pali hui hai
hum asiran-e-mohabbat hain hamein kya malum
kis ki dastar sar-e-bazm uchhaali hui hai
har taraf dar-o-rasan ke hain marakiz to rahen
sarfaroshon se ye duniya kahin KHali hui hai
us ki tah mein hain nihan sainkaDon andaz-e-fusun
rasm-e-taqrib jo mahfil se nikali hui hai
KHwab-o-tabir ki raqsinda shagufta si kali
daman-e-shauq mein muddat se sanbhaali hui hai
KHwah ghairon se ho ya apne azizon se 'kamal'
guftugu meri hui hai to misali hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.