dil ki aazadi to pabandi se hai
dil kī āzādī to pābandī se hai
gar vo pābandī razā-mandī se hai
tū samajhtā hai hunar-mandī se hai
qadr in’ām-e-ḳhudāvandī se hai
naam usī ka hai ḳhushī-o-ḳhurramī
jo mayassar un kī ḳhursandī se hai
hai ba-qadr-e-faiz insāñ ka faroġh
naḳhl kī qīmat birau-mandī se hai
aah vo farzand jo bā-‘ilm-o-fazl
be-ḳhabar ādāb-e-farzandī se hai
aur iḳhlās-e-‘amal hogā kahāñ
gar 'ibādat bhī ġharaz-mandī se hai
is qadar shiddat hamāre shauq meñ
un kī ḳhū-e-der-paivandī se hai
ai 'asad' nashv-o-numā-e-zindagī
dard-o-soz-e-ārzūmandī se hai
dil ki aazadi to pabandi se hai
gar wo pabandi raza-mandi se hai
tu samajhta hai hunar-mandi se hai
qadr in’am-e-KHudawandi se hai
nam usi ka hai KHushi-o-KHurrami
jo mayassar un ki KHursandi se hai
hai ba-qadr-e-faiz insan ka farogh
naKHl ki qimat birau-mandi se hai
aah wo farzand jo ba-‘ilm-o-fazl
be-KHabar aadab-e-farzandi se hai
aur iKHlas-e-‘amal hoga kahan
gar 'ibaadat bhi gharaz-mandi se hai
is qadar shiddat hamare shauq mein
un ki KHu-e-der-paiwandi se hai
ai 'asad' nashw-o-numa-e-zindagi
dard-o-soz-e-arzumandi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.