dil ki angnaiyon mein utra kaun
dil kī añgnā.iyoñ meñ utrā kaun
tishna-lab bastiyoñ meñ utrā kaun
goshe-goshe meñ raushnī kā zuhūr
shab kī tārīkiyoñ meñ utrā kaun
jazba shādāb aarzū rañgīñ
dil kī tanhā.iyoñ meñ utrā kaun
shahr kī dilkashī meñ sab gum haiñ
dasht kī vādiyoñ meñ utrā kaun
ai sabā ab to kah de chupke se
dil kī gahrā.iyoñ meñ utrā kaun
dil ki angnaiyon mein utra kaun
tishna-lab bastiyon mein utra kaun
goshe-goshe mein raushni ka zuhur
shab ki tarikiyon mein utra kaun
jazba shadab aarzu rangin
dil ki tanhaiyon mein utra kaun
shahr ki dilkashi mein sab gum hain
dasht ki wadiyon mein utra kaun
ai saba ab to kah de chupke se
dil ki gahraiyon mein utra kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.