dil ki baat kya kahiye dil ajib basti hai
dil kī baat kyā kahiye dil 'ajīb bastī hai
roz ye ujaḌtī hai aur roz bastī hai
pahle apnī hālat pe hañs le ḳhud hī jī bhar ke
dekh kar mujhe duniyā tanz se jo hañstī hai
aaj kā zamāna bhī vaah kyā zamāna hai
zindagī bahut mahñgī maut kitnī sastī hai
us se duur kyā hogī tīrgī zamāne kī
sham' raushnī ko ḳhud aaj jab tarastī hai
dil ki baat kya kahiye dil 'ajib basti hai
roz ye ujaDti hai aur roz basti hai
pahle apni haalat pe hans le KHud hi ji bhar ke
dekh kar mujhe duniya tanz se jo hansti hai
aaj ka zamana bhi wah kya zamana hai
zindagi bahut mahngi maut kitni sasti hai
us se dur kya hogi tirgi zamane ki
sham' raushni ko KHud aaj jab tarasti hai
- Book : Harf Harf Khowab (Pg. 94)
- Author : asi ramnagari
- Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.