dil ki baat zaban par lao phir dekho
dil kī baat zabāñ par laao phir dekho
ham ko apnā haal sunāo phir dekho
ham terī bātoñ meñ bhī aa sakte haiñ
sach meñ thoḌā jhuuT milāo phir dekho
sūraj chāñd sitāre toḌ ke lā dūñgā
thoḌī sī ummīd dilāo phir dekho
vahshat hū kā aalam sannāTā aur ġham
tum apne atrāf sajāo phir dekho
tum ne us kā kahnā yūñhī maan liyā
kuchh apnā bhī zehn laḌāo phir dekho
is chehre ke pīchhe kitne chehre haiñ
ā.īne ke sāmne aao phir dekho
vaise aksar bante haiñ suqrāt yahāñ
tum logoñ ko zahr pilāo phir dekho
ujḌī bastī vaalo himmat nā haaro
koī zinda shahr basāo phir dekho
har ḳhvāhish puurī ho ye nā-mumkin hai
phir bhī tum kuchh ḳhvāb sajāo phir dekho
'sādī' vo TuuTe hue dil kī suntā hai
us ke dar se aas lagāo phir dekho
dil ki baat zaban par lao phir dekho
hum ko apna haal sunao phir dekho
hum teri baaton mein bhi aa sakte hain
sach mein thoDa jhuT milao phir dekho
suraj chand sitare toD ke la dunga
thoDi si ummid dilao phir dekho
wahshat hu ka aalam sannaTa aur gham
tum apne atraf sajao phir dekho
tum ne us ka kahna yunhi man liya
kuchh apna bhi zehn laDao phir dekho
is chehre ke pichhe kitne chehre hain
aaine ke samne aao phir dekho
waise aksar bante hain suqraat yahan
tum logon ko zahr pilao phir dekho
ujDi basti walo himmat na haaro
koi zinda shahr basao phir dekho
har KHwahish puri ho ye na-mumkin hai
phir bhi tum kuchh KHwab sajao phir dekho
'sadi' wo TuTe hue dil ki sunta hai
us ke dar se aas lagao phir dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.