dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin
dil kī bāteñ dil se karnā itnā bhī āsān nahīñ
ḳhud kī ḳhātir ḳhud meñ rahnā itnā bhī āsān nahīñ
pal jo guzre terī ḳhātir mad-hoshī ke aalam meñ
ḳhāmoshī meñ sunte rahnā itnā bhī āsān nahīñ
hijr kī shab jab chāñd ko dekhā to mujh ko mahsūs huā
apne aap meñ til til mārnā itnā bhī āsān nahīñ
aap vafā ke paikar the ham hī vafā ko samjhe nahīñ
ḳhud ko hī ilzām ye denā itnā bhī āsān nahīñ
tum se bichhaḌ ke yaad tumhārī shāz-o-nādir hī aa.ī
Duubī āñkhoñ se ye kahnā itnā bhī āsān nahīñ
'aslam' aap haiñ sab se achchhe aur us par ma.asūm bahut
phūloñ ke ye nashtar sahnā itnā bhī āsān nahīñ
dil ki baaten dil se karna itna bhi aasan nahin
KHud ki KHatir KHud mein rahna itna bhi aasan nahin
pal jo guzre teri KHatir mad-hoshi ke aalam mein
KHamoshi mein sunte rahna itna bhi aasan nahin
hijr ki shab jab chand ko dekha to mujh ko mahsus hua
apne aap mein til til marna itna bhi aasan nahin
aap wafa ke paikar the hum hi wafa ko samjhe nahin
KHud ko hi ilzam ye dena itna bhi aasan nahin
tum se bichhaD ke yaad tumhaari shaz-o-nadir hi aai
Dubi aankhon se ye kahna itna bhi aasan nahin
'aslam' aap hain sab se achchhe aur us par masum bahut
phulon ke ye nashtar sahna itna bhi aasan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.