dil ki baaten duniya tak pahunchao to
dil kī bāteñ duniyā tak pahuñchāo to
dard ghaTegā dard se bāhar aao to
duniyā vāloñ dukh kī jaḌ ye duniyā hai
thoḌā thoḌā apne andar aao to
sattā-dhārī ḳhud chaukhaT tak ā.eñge
sattā kī āñkhoñ se aañkh milāo to
kabhī nahīñ miT saktā hai sach kā sūraj
jhūToñ kī īñToñ se iiñT bajāo to
milegī manzil dil se chāhne vāloñ ko
manzil tak qadmoñ se chalte jaao to
dil ki baaten duniya tak pahunchao to
dard ghaTega dard se bahar aao to
duniya walon dukh ki jaD ye duniya hai
thoDa thoDa apne andar aao to
satta-dhaari KHud chaukhaT tak aaenge
satta ki aankhon se aankh milao to
kabhi nahin miT sakta hai sach ka suraj
jhuTon ki inTon se inT bajao to
milegi manzil dil se chahne walon ko
manzil tak qadmon se chalte jao to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.