dil ki baaten hain ye bojhal na banaun usko
dil kī bāteñ haiñ ye bojhal na banā.ūñ us ko
maslahat ye hai ki kuchh bhī na batā.ūñ us ko
shahr meñ jā ke kahūñ kis se burā haal apnā
koī apnā ho to ahvāl sunā.ūñ us ko
aa basīñ dil meñ bhī rozī kī tamannā.eñ ab
ab kahāñ jā.ūñ ki duniyā se chhupā.ūñ us ko
har galī kūcha-e-qātil hai dil-e-īzā-talab
koī mushkil ho to āsān banā.ūñ us ko
lams mumkin nahīñ sho.ale kā binā ḳhaak hue
phuul ho sirf to siine se lagā.ūñ us ko
dil ki baaten hain ye bojhal na banaun us ko
maslahat ye hai ki kuchh bhi na bataun us ko
shahr mein ja ke kahun kis se bura haal apna
koi apna ho to ahwal sunaun us ko
aa basin dil mein bhi rozi ki tamannaen ab
ab kahan jaun ki duniya se chhupaun us ko
har gali kucha-e-qatil hai dil-e-iza-talab
koi mushkil ho to aasan banaun us ko
lams mumkin nahin shoale ka bina KHak hue
phul ho sirf to sine se lagaun us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.