dil ki baaten kisi hasin se kahen
dil kī bāteñ kisī hasīñ se kaheñ
par kaheñ bhī to kis yaqīñ se kaheñ
barf sī jam rahī hai hoñToñ par
kis ke ruḳhsār-e-ātishīñ se kaheñ
har jagah hai to is fasāne meñ
to jahāñ se kahe vahīñ se kaheñ
ham to samjhā ke haar baiThe haiñ
aap hī kuchh dil-e-hazīñ se kaheñ
āñso.oñ kī kahāniyāñ ai 'tāj'
kab tak apnī hī āstīñ se kaheñ
dil ki baaten kisi hasin se kahen
par kahen bhi to kis yaqin se kahen
barf si jam rahi hai honTon par
kis ke ruKHsar-e-atishin se kahen
har jagah hai to is fasane mein
to jahan se kahe wahin se kahen
hum to samjha ke haar baiThe hain
aap hi kuchh dil-e-hazin se kahen
aansoon ki kahaniyan ai 'taj'
kab tak apni hi aastin se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.