dil ki barbaadi ka bandhe hue saman chale
dil ki barbaadi ka bandhe hue saman chale
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
dil kī barbādī kā bāñdhe hue sāmān chale
aaj vīrāne kī jānib tire mehmān chale
ġhairat-e-uns-o-vafā bik ga.ī bāzāroñ meñ
jaane kis raah pe is daur ke insān chale
reñgtā phirtā huuñ is tarah tirī yaad ke saath
sīna-e-dasht pe jaise koī ġham-ḳhvār chale
munkir-e-ḳhū-e-mohabbat the zamāne vaale
terī mahfil se magar ho ke musalmān chale
'rāhī' is shahr kī tārīf kahāñ tak kiije
haar kar jis meñ ka.ī baar dil-o-jān chale
dil ki barbaadi ka bandhe hue saman chale
aaj virane ki jaanib tere mehman chale
ghairat-e-uns-o-wafa bik gai bazaron mein
jaane kis rah pe is daur ke insan chale
rengta phirta hun is tarah teri yaad ke sath
sina-e-dasht pe jaise koi gham-KHwar chale
munkir-e-KHu-e-mohabbat the zamane wale
teri mahfil se magar ho ke musalman chale
'rahi' is shahr ki tarif kahan tak kije
haar kar jis mein kai bar dil-o-jaan chale
- Book : سائبان غزل (Pg. 67)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.