dil ki barbaadi ka rona ai gham-e-nakaam kya
dil kī barbādī kā ronā ai ġham-e-nākām kyā
is tarah dard-e-mohabbat ko kareñ badnām kyā
dushman-e-jāñ ban ga.ī ḳhud-āgahī varna bhalā
merā rishta rok saktī shorish-e-ayyām kyā
lazzat-e-mizhgāñ shu.ūr-e-ġham kā darmāñ ban ga.ī
varna apnā hausla kyā mai-kashī kyā jaam kyā
ḳhud to rangā-rang tasvīreñ banā.īñ aap ne
mere sar dharte haiñ phir ye aap hī ilzām kyā
kārvān-e-dahr ko manzil-ba-manzil dekh aa.e
'nāzish'-e-badnām apnī sub.h kyā aur shaam kyā
dil ki barbaadi ka rona ai gham-e-nakaam kya
is tarah dard-e-mohabbat ko karen badnam kya
dushman-e-jaan ban gai KHud-agahi warna bhala
mera rishta rok sakti shorish-e-ayyam kya
lazzat-e-mizhgan shuur-e-gham ka darman ban gai
warna apna hausla kya mai-kashi kya jam kya
KHud to ranga-rang taswiren banain aap ne
mere sar dharte hain phir ye aap hi ilzam kya
karwan-e-dahr ko manzil-ba-manzil dekh aae
'nazish'-e-badnam apni subh kya aur sham kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.