dil ki barbaadi mein shamil thi raza aankhon ki
dil kī barbādī meñ shāmil thī razā āñkhoñ kī
is kī pādāsh meñ kaam aa.ī ziyā āñkhoñ kī
aañkh māhaul se jab tark-e-ta.alluq kar le
ġhaur kiije to vo hotī hai anā āñkhoñ kī
zer-e-lab mauj-e-tabassum na 'arūsāna libās
husn-e-ma.asūm kī pahchān hayā āñkhoñ kī
hāl-e-dil lafzoñ kā muhtāj hai ye kis ne kahā
koī samjhe to ye aañsū haiñ sadā āñkhoñ kī
ham ko le Dūbegā ye zāhir-o-bātin kā tazād
ruuh kā karb judā raah judā āñkhoñ kī
gauhar-e-ashk ko arzāñ nahīñ karte ye log
qadr pahchānte haiñ ahl-e-vafā āñkhoñ kī
āñkhoñ vāloñ ne uḌāyā hai añdheroñ kā mazāq
raushnī chhīn na le un se ḳhudā āñkhoñ kī
is ko kyā kahte haiñ 'iqbāl' maiñ kis se pūchhūñ
husn ḳhud dād-talab aur ḳhatā āñkhoñ kī
dil ki barbaadi mein shamil thi raza aankhon ki
is ki padash mein kaam aai ziya aankhon ki
aankh mahaul se jab tark-e-talluq kar le
ghaur kije to wo hoti hai ana aankhon ki
zer-e-lab mauj-e-tabassum na 'arusana libas
husn-e-masum ki pahchan haya aankhon ki
haal-e-dil lafzon ka muhtaj hai ye kis ne kaha
koi samjhe to ye aansu hain sada aankhon ki
hum ko le Dubega ye zahir-o-baatin ka tazad
ruh ka karb juda rah juda aankhon ki
gauhar-e-ashk ko arzan nahin karte ye log
qadr pahchante hain ahl-e-wafa aankhon ki
aankhon walon ne uDaya hai andheron ka mazaq
raushni chhin na le un se KHuda aankhon ki
is ko kya kahte hain 'iqbaal' main kis se puchhun
husn KHud dad-talab aur KHata aankhon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.