dil ki basti ko masarrat se sajae rakhiye
dil kī bastī ko masarrat se sajā.e rakhiye
yaar ke ġham ko muqaddar hī banā.e rakhiye
zauq-e-dīdār ko kuchh aur baḌhā.e rakhiye
chāñd se chehre ko chilman meñ chhupā.e rakhiye
kal bichhaḌ jaa.eñ to rah jā.eñgī yādeñ baaqī
aaj to saare hijābāt uThā.e rakhiye
ye vo daulat hai jo qismat se milā kartī hai
pyaar ke dard ko siine se lagā.e rakhiye
phir añdhere mirī rāhoñ meñ na aa jaa.eñ kahīñ
apnī ulfat se mire dil ko jalā.e rakhiye
chashm-e-duniyā ko kahāñ diid kā hāsil hai shu'ūr
rū-e-raushan ko hijāboñ meñ chhupā.e rakhiye
dil-e-'dānish' na hamesha ke liye ruk jaa.e
aap siine se zarā haath lagā.e rakhiye
dil ki basti ko masarrat se sajae rakhiye
yar ke gham ko muqaddar hi banae rakhiye
zauq-e-didar ko kuchh aur baDhae rakhiye
chand se chehre ko chilman mein chhupae rakhiye
kal bichhaD jaen to rah jaengi yaaden baqi
aaj to sare hijabaat uThae rakhiye
ye wo daulat hai jo qismat se mila karti hai
pyar ke dard ko sine se lagae rakhiye
phir andhere meri rahon mein na aa jaen kahin
apni ulfat se mere dil ko jalae rakhiye
chashm-e-duniya ko kahan did ka hasil hai shu'ur
ru-e-raushan ko hijabon mein chhupae rakhiye
dil-e-'danish' na hamesha ke liye ruk jae
aap sine se zara hath lagae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.