dil ki betabiyon ka badal ho gai
dil kī betābiyoñ kā badal ho ga.ī
aap jab yaad aa.e ġhazal ho ga.ī
zindagī itnī taklīf-dah to na thī
jitnī taklīf-dah āj-kal ho ga.ī
kitne bhauñroñ ne is par uḌāneñ bharīñ
ek nannhī kalī jab kañval ho ga.ī
kyā tirī be-ruḳhī ko bhulā pā.egī
vo mulāqāt jo chañd pal ho ga.ī
un se koī shikāyat na kī umr bhar
jaane kyoñ ik zarā baat kal ho ga.ī
un se tark-e-ta.alluq huā so huā
maut kī baat bilkul aTal ho ga.ī
un kī nazreñ uThīñ merī nazreñ uThīñ
baat kī baat thī bar-mahal ho ga.ī
ye baḌī mehrbānī huī aap kī
sāmne jo bhī diqqat thī hal ho ga.ī
aarzū un se milne kī 'manzil' jo thī
ek din vo hamārī ajal ho ga.ī
dil ki betabiyon ka badal ho gai
aap jab yaad aae ghazal ho gai
zindagi itni taklif-dah to na thi
jitni taklif-dah aaj-kal ho gai
kitne bhaunron ne is par uDanen bharin
ek nannhi kali jab kanwal ho gai
kya teri be-ruKHi ko bhula paegi
wo mulaqat jo chand pal ho gai
un se koi shikayat na ki umr bhar
jaane kyon ek zara baat kal ho gai
un se tark-e-talluq hua so hua
maut ki baat bilkul aTal ho gai
un ki nazren uThin meri nazren uThin
baat ki baat thi bar-mahal ho gai
ye baDi mehrbani hui aap ki
samne jo bhi diqqat thi hal ho gai
aarzu un se milne ki 'manzil' jo thi
ek din wo hamari ajal ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.