dil ki dhaDkan bhi jo sun lo tum meri aawaz mein
dil kī dhaḌkan bhī jo sun lo tum mirī āvāz meñ
tab tumheñ ehsās hogā dard hai is saaz meñ
be-vaj.h thak kar nahīñ baiThe haiñ kuchh taa.ir yahāñ
lag gayā hai koī grahan un kī bhī parvāz meñ
is jahāñ kī bazm se vo shaḳhs pyāsā jā.egā
fikr hai anjām kī bas jis ko har āġhāz meñ
raaz thā jo khul gayā vo ik ishāre par yahāñ
kyā kashish baaqī rahī yāroñ mire hamrāz meñ
be-sabab kahtā nahīñ koī ġhazal shā.ir yahāñ
koī ḳhvāhish to chhupī hai us ke is andāz meñ
bartarī kā is qadar 'shamshād' jin ko ho bharam
kamtarī ko pāoge tum un ke har andāz meñ
dil ki dhaDkan bhi jo sun lo tum meri aawaz mein
tab tumhein ehsas hoga dard hai is saz mein
be-wajh thak kar nahin baiThe hain kuchh tair yahan
lag gaya hai koi grahan un ki bhi parwaz mein
is jahan ki bazm se wo shaKHs pyasa jaega
fikr hai anjam ki bas jis ko har aaghaz mein
raaz tha jo khul gaya wo ek ishaare par yahan
kya kashish baqi rahi yaron mere hamraaz mein
be-sabab kahta nahin koi ghazal shair yahan
koi KHwahish to chhupi hai us ke is andaz mein
bartari ka is qadar 'shamshad' jin ko ho bharam
kamtari ko paoge tum un ke har andaz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.