dil ki dhaDkan bhi sada dene lagi barsat ko
dil ki dhaDkan bhi sada dene lagi barsat ko
Aqeel Siddqui Maahir
MORE BYAqeel Siddqui Maahir
dil kī dhaḌkan bhī sadā dene lagī barsāt ko
yaad un kī aa ga.ī kamre meñ aadhī raat ko
har taraf pūrab ho pachchhim phuul se khilne lage
shīsha-o-sāġhar ne kal chūmā thā mere haat ko
dushmanoñ ke darmiyāñ jab naam terā aa gayā
bhar liyā dāman meñ jaise gardish-e-hālāt ko
maiñ samajhtā thā ki ab ye dūriyāñ miT jā.eñgī
Thes pahuñchātā rahā vo har ghaḌī jazbāt ko
tere jaane se har ik shai par udāsī chhā ga.ī
chhoḌ aaya gaañv meñ terī har ik sauġhāt ko
sochtā rahtā huuñ 'māhir' ā.inoñ ke darmiyāñ
kar gayā hai kaun raushan hijr-o-ġham kī raat ko
dil ki dhaDkan bhi sada dene lagi barsat ko
yaad un ki aa gai kamre mein aadhi raat ko
har taraf purab ho pachchhim phul se khilne lage
shisha-o-saghar ne kal chuma tha mere hat ko
dushmanon ke darmiyan jab nam tera aa gaya
bhar liya daman mein jaise gardish-e-haalat ko
main samajhta tha ki ab ye duriyan miT jaengi
Thes pahunchata raha wo har ghaDi jazbaat ko
tere jaane se har ek shai par udasi chha gai
chhoD aaya ganw mein teri har ek saughat ko
sochta rahta hun 'mahir' aainon ke darmiyan
kar gaya hai kaun raushan hijr-o-gham ki raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.