dil ki dhaDkan ko aas kis ki hai
dil kī dhaḌkan ko aas kis kī hai
zindagānī meñ pyaas kis kī hai
maiñ kisī kā na koī merā hai
phir ye nas nas meñ pyaas kis kī hai
jis ko maiñ ne kabhī nahīñ dekhā
mere andar ye saañs kis kī hai
kashmakash dil meñ hai ye barsoñ se
aas kis kī hai yaas kis kī hai
har badan meñ chhupā jo jauhar hai
us meñ bū aur baas kis kī hai
ḳhair meñ shar kī ye 'ravish' kaisī
dil se uThtī bhaḌās kis kī hai
dil ki dhaDkan ko aas kis ki hai
zindagani mein pyas kis ki hai
main kisi ka na koi mera hai
phir ye nas nas mein pyas kis ki hai
jis ko main ne kabhi nahin dekha
mere andar ye sans kis ki hai
kashmakash dil mein hai ye barson se
aas kis ki hai yas kis ki hai
har badan mein chhupa jo jauhar hai
us mein bu aur bas kis ki hai
KHair mein shar ki ye 'rawish' kaisi
dil se uThti bhaDas kis ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.