dil ki diwar mein aaina rakha tha kis ne
dil kī dīvār meñ ā.īna rakhā thā kis ne
mujh ko pahchānte rahne ko kahā thā kis ne
dushman-e-jāñ tire hāthoñ meñ to patthar bhī na thā
lazzat-e-ḳhvāb ko nam-dīda kiyā thā kis ne
ab bahut duur nikal jaane ko jī chāhtā hai
mujh ko jaate hue dīvāna kahā thā kis ne
us kī āñkhoñ meñ bulāvā hī na thā sach ye hai
ai shab-e-hijr tujhe saath kiyā thā kis ne
anjuman anjuman qisse the hamāre kal tak
aaj vīrānī ko āñkhoñ meñ rakhā thā kis ne
naam to us kā bhalā sā thā magar yaad nahīñ
siskiyāñ le ke tujhe yaad kiyā thā kis ne
dil ki diwar mein aaina rakha tha kis ne
mujh ko pahchante rahne ko kaha tha kis ne
dushman-e-jaan tere hathon mein to patthar bhi na tha
lazzat-e-KHwab ko nam-dida kiya tha kis ne
ab bahut dur nikal jaane ko ji chahta hai
mujh ko jate hue diwana kaha tha kis ne
us ki aankhon mein bulawa hi na tha sach ye hai
ai shab-e-hijr tujhe sath kiya tha kis ne
anjuman anjuman qisse the hamare kal tak
aaj virani ko aankhon mein rakha tha kis ne
nam to us ka bhala sa tha magar yaad nahin
siskiyan le ke tujhe yaad kiya tha kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.