dil ki dil ko KHabar nahin milti
dil kī dil ko ḳhabar nahīñ miltī
jab nazar se nazar nahīñ miltī
sahar aa.ī hai din kī dhuup liye
ab nasīm-e-sahar nahīñ miltī
dil-e-māsūm kī vo pahlī choT
dostoñ se nazar nahīñ miltī
jitne lab utne us ke afsāne
ḳhabar-e-mo'tabar nahīñ miltī
hai maqām-e-junūñ se hosh kī rah
sab ko ye rahguzar nahīñ miltī
nahīñ 'mullā' pe us fuġhāñ kā asar
jis meñ āh-e-bashar nahīñ miltī
dil ki dil ko KHabar nahin milti
jab nazar se nazar nahin milti
sahar aai hai din ki dhup liye
ab nasim-e-sahar nahin milti
dil-e-masum ki wo pahli choT
doston se nazar nahin milti
jitne lab utne us ke afsane
KHabar-e-mo'tabar nahin milti
hai maqam-e-junun se hosh ki rah
sab ko ye rahguzar nahin milti
nahin 'mulla' pe us fughan ka asar
jis mein aah-e-bashar nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.