dil ki duniya ko basane chal paDa dil
dil kī duniyā ko basāne chal paḌā dil
muddatoñ ke baa'd phir zid pe aḌā dil
husn āñkheñ zulf aur lab ke muḳhālif
ishq ke maidāñ meñ tanhā hai khaḌā dil
jab se dil ne hai lagā.ī ḳhud kī baazī
husn vaalo dushmanī meñ aa paḌā dil
allah allāh us kī himmat ko salāmī
sab harīfoñ se akelā hī laḌā dil
zulf-e-pur-ḳham jumbish-e-lab aur dam-ḳham
us taraf ye is taraf in se baḌā dil
dil ki duniya ko basane chal paDa dil
muddaton ke ba'd phir zid pe aDa dil
husn aankhen zulf aur lab ke muKHalif
ishq ke maidan mein tanha hai khaDa dil
jab se dil ne hai lagai KHud ki bazi
husn walo dushmani mein aa paDa dil
allah allah us ki himmat ko salami
sab harifon se akela hi laDa dil
zulf-e-pur-KHam jumbish-e-lab aur dam-KHam
us taraf ye is taraf in se baDa dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.