dil ki duniya ko luTane mein maza aata hai
dil ki duniya ko luTane mein maza aata hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
dil kī duniyā ko luTāne meñ mazā aatā hai
apnī hastī ko miTāne meñ mazā aatā hai
umr bhar rāh-e-sadāqat pe chale haiñ ham bhī
ham ko ye jhuuT batāne meñ mazā aatā hai
na koī dharm hai apnā na koī maz.hab hai
dil ko har samt jhukāne meñ mazā aatā hai
Thokareñ khā ke hī mil jā.egī ik din manzil
is liye Thokareñ khāne meñ mazā aatā hai
ab to piine meñ koī lutf nahīñ hai 'sāqī'
bas zamāne ko pilāne meñ mazā aatā hai
dil ki duniya ko luTane mein maza aata hai
apni hasti ko miTane mein maza aata hai
umr bhar rah-e-sadaqat pe chale hain hum bhi
hum ko ye jhuT batane mein maza aata hai
na koi dharm hai apna na koi mazhab hai
dil ko har samt jhukane mein maza aata hai
Thokaren kha ke hi mil jaegi ek din manzil
is liye Thokaren khane mein maza aata hai
ab to pine mein koi lutf nahin hai 'saqi'
bas zamane ko pilane mein maza aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.