dil ki duniya mein teri yaad ke manzar jage
dil kī duniyā meñ tirī yaad ke manzar jaage
aañkh se ashk gire ġham ke samundar jaage
qāfila luTne kā afsos nahīñ dukh ye hai
rāhzan jā chuke jis vaqt to rahbar jaage
dil kī zulmat ko miTāyā hī nahīñ jā saktā
jab talak shahr-e-tamannā meñ na mahshar jaage
ham se dīvānoñ ne sar pesh kiye haiñ hañs ke
jab bhī maqtal meñ kabhī zulm ke ḳhanjar jaage
inqalāb ek nayā barpā jahāñ meñ hogā
ḳhvāb-e-ġhaflat se kabhī jab bhī suḳhanvar jaage
saarī tadbīreñ yahāñ ho ga.iiñ 'sā.ir' be-sūd
ham gila kis se kareñ gar na muqaddar jaage
dil ki duniya mein teri yaad ke manzar jage
aankh se ashk gire gham ke samundar jage
qafila luTne ka afsos nahin dukh ye hai
rahzan ja chuke jis waqt to rahbar jage
dil ki zulmat ko miTaya hi nahin ja sakta
jab talak shahr-e-tamanna mein na mahshar jage
hum se diwanon ne sar pesh kiye hain hans ke
jab bhi maqtal mein kabhi zulm ke KHanjar jage
inqalab ek naya barpa jahan mein hoga
KHwab-e-ghaflat se kabhi jab bhi suKHanwar jage
sari tadbiren yahan ho gain 'sair' be-sud
hum gila kis se karen gar na muqaddar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.