dil ki haalat bigaD rahi hai kyun
dil kī hālat bigaḌ rahī hai kyuuñ
har nafas mujh ko be-kalī hai kyuuñ
dil lagātā hai bas sadā terī
be-qarārī ye baḌh rahī hai kyuuñ
us ke kūche meñ umr guzrī phir
kūcha-e-yār ajnabī hai kyuuñ
jism zanjīr ho bhī saktā hai
ruuh āzād hai rukī hai kyuuñ
ab ye samjhī huuñ jab banī jaañ par
markaz-e-jāñ tirī galī hai kyuuñ
dil ki haalat bigaD rahi hai kyun
har nafas mujh ko be-kali hai kyun
dil lagata hai bas sada teri
be-qarari ye baDh rahi hai kyun
us ke kuche mein umr guzri phir
kucha-e-yar ajnabi hai kyun
jism zanjir ho bhi sakta hai
ruh aazad hai ruki hai kyun
ab ye samjhi hun jab bani jaan par
markaz-e-jaan teri gali hai kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.