dil ki har baat man li humne
dil kī har baat maan lī ham ne
tujh ko paane kī Thaan lī ham ne
shahr kī vahshatoñ se ghabrā kar
chādar-e-dasht taan lī ham ne
ek duuje se chāhatoñ ke evaz
'umr bhar kī thakān lī ham ne
bech kar dushmanoñ ko saare tiir
ek ḳhālī kamān lī ham ne
shāyad ik roz is meñ dab jaa.eñ
ko.ele kī jo kaan lī ham ne
jab tamāshe ko garm honā thā
mohlat ik darmiyān lī ham ne
log jugnū pakaḌ na paa.e jab
uḌ ke ik kahkashān lī ham ne
āfateñ roz kar rahī haiñ salām
ġham kī goyā dukān lī ham ne
shab use bhūlne kī koshish kī
thak ke apnī hī jaan lī ham ne
ho ke 'ġhālib' se āshnā 'farhat'
phir nishāt-e-zabān lī ham ne
dil ki har baat man li hum ne
tujh ko pane ki Than li hum ne
shahr ki wahshaton se ghabra kar
chadar-e-dasht tan li hum ne
ek duje se chahaton ke ewaz
'umr bhar ki thakan li hum ne
bech kar dushmanon ko sare tir
ek KHali kaman li hum ne
shayad ek roz is mein dab jaen
koele ki jo kan li hum ne
jab tamashe ko garm hona tha
mohlat ek darmiyan li hum ne
log jugnu pakaD na pae jab
uD ke ek kahkashan li hum ne
aafaten roz kar rahi hain salam
gham ki goya dukan li hum ne
shab use bhulne ki koshish ki
thak ke apni hi jaan li hum ne
ho ke 'ghaalib' se aashna 'farhat'
phir nishat-e-zaban li hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.