dil ki har dhaDkan payam-e-dost ho jati hai kya
dil kī har dhaḌkan payām-e-dost ho jaatī hai kyā
guftugū apnī kalām-e-dost ho jaatī hai kyā
pūchhtā huuñ laġhzish-e-mastāna-e-arbāb-e-‘ishq
ā.ina-dār-e-khirām-e-dost ho jaatī hai kyā
miT ga.ī hastī agar nām-o-nishān-e-dost par
ḳhud nishān-e-dost nām-e-dost ho jaatī hai kyā
sūrat-e-hastī fanā ho kar baqā-e-dost meñ
mā’nī-e-naqsh-e-davām-e-dost ho jaatī hai kyā
afzal-ul-makHlūq masjūd-e-malā.ik ke liye
ādmiyyat ehtirām-e-dost ho jaatī hai kyā
har nafas rāh-e-razā-e-dost meñ ho kar fanā
zindagī qā.im-maqām-e-dost ho jaatī hai kyā
'ishq meñ tan aur man sab ek aate haiñ nazar
dil kī duniyā saqf-o-bām-e-dost ho jaatī hai kyā
ruuh amr-e-rab hai amr-e-rab hai kun kun hai kalām
rūh-e-insānī kalām-e-dost ho jaatī hai kyā
dil ki har dhaDkan payam-e-dost ho jati hai kya
guftugu apni kalam-e-dost ho jati hai kya
puchhta hun laghzish-e-mastana-e-arbab-e-‘ishq
aaina-dar-e-khiram-e-dost ho jati hai kya
miT gai hasti agar nam-o-nishan-e-dost par
KHud nishan-e-dost nam-e-dost ho jati hai kya
surat-e-hasti fana ho kar baqa-e-dost mein
ma’ni-e-naqsh-e-dawam-e-dost ho jati hai kya
afzal-ul-makHluq masjud-e-malaik ke liye
aadmiyyat ehtiram-e-dost ho jati hai kya
har nafas rah-e-raza-e-dost mein ho kar fana
zindagi qaim-maqam-e-dost ho jati hai kya
'ishq mein tan aur man sab ek aate hain nazar
dil ki duniya saqf-o-baam-e-dost ho jati hai kya
ruh amr-e-rab hai amr-e-rab hai kun kun hai kalam
ruh-e-insani kalam-e-dost ho jati hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.