dil kī ho dil se mulāqāt bahut mushkil hai
aur sab sahl hai ye baat bahut mushkil hai
'ishq vāloñ kī to dā'vat hai junūñ se mumkin
husn vāloñ kī mudārāt bahut mushkil hai
bazm-e-fitrat ke bhī aa.iin kahīñ badle haiñ
sab ke mābain musāvāt bahut mushkil hai
jeb ḳhālī ho to ik lamha bhī hotā hai pahāḌ
muflisī meñ basar-auqāt bahut mushkil hai
hadiya-e-ġham haiñ 'munavvar' mire dil ke TukḌe
koī Thukrā.e ye sauġhāt bahut mushkil hai
dil ki ho dil se mulaqat bahut mushkil hai
aur sab sahl hai ye baat bahut mushkil hai
'ishq walon ki to da'wat hai junun se mumkin
husn walon ki mudaraat bahut mushkil hai
bazm-e-fitrat ke bhi aain kahin badle hain
sab ke mabain musawat bahut mushkil hai
jeb KHali ho to ek lamha bhi hota hai pahaD
muflisi mein basar-auqat bahut mushkil hai
hadiya-e-gham hain 'munawwar' mere dil ke TukDe
koi Thukrae ye saughat bahut mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.