dil ki kahaniyon ko naya moD kyun diya
dil kī kahāniyoñ ko nayā moḌ kyuuñ diyā
rishtoñ ke TuuTe shīshe ko phir joḌ kyuuñ diyā
dahlīz par jalā ke sar-e-shām ik charāġh
darvāza tum ne ghar kā khulā chhoḌ kyuuñ diyā
gul-dān meñ saje hue naqlī gulāb par
ik bad-havās titlī ne dam toḌ kyuuñ diyā
tūfāñ se laḌ rahā thā vo sāhil ke vāste
sāhil milā to naav kā ruḳh moḌ kyuuñ diyā
ye dekhiye vo ḳhush hai bahut mujh ko chhoḌ kar
mat pūchhiye ki us ne mujhe chhoḌ kyuuñ diyā
dil ki kahaniyon ko naya moD kyun diya
rishton ke TuTe shishe ko phir joD kyun diya
dahliz par jala ke sar-e-sham ek charagh
darwaza tum ne ghar ka khula chhoD kyun diya
gul-dan mein saje hue naqli gulab par
ek bad-hawas titli ne dam toD kyun diya
tufan se laD raha tha wo sahil ke waste
sahil mila to naw ka ruKH moD kyun diya
ye dekhiye wo KHush hai bahut mujh ko chhoD kar
mat puchhiye ki us ne mujhe chhoD kyun diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.