dil ki KHatir hi zamane ki bala ho jaise
dil kī ḳhātir hī zamāne kī balā ho jaise
zindagī apne gunāhoñ kī sazā ho jaise
dil kī vaadī meñ tamannāoñ kī rañgā-rañgī
koī melā kisī bastī meñ lagā ho jaise
haañ pukārā hai ġham-e-zīst ne yuuñ bhī ham ko
pyaar meñ Duubī huī terī sadā ho jaise
jāda-e-shauq meñ jalte haiñ diye duur talak
apnā har naqsh-e-qadam rāh-numā ho jaise
dil jalāo bhī ki 'jāved' añdherā hai bahut
raushnī rāh-guzāroñ se ḳhafā ho jaise
dil ki KHatir hi zamane ki bala ho jaise
zindagi apne gunahon ki saza ho jaise
dil ki wadi mein tamannaon ki ranga-rangi
koi mela kisi basti mein laga ho jaise
han pukara hai gham-e-zist ne yun bhi hum ko
pyar mein Dubi hui teri sada ho jaise
jada-e-shauq mein jalte hain diye dur talak
apna har naqsh-e-qadam rah-numa ho jaise
dil jalao bhi ki 'jawed' andhera hai bahut
raushni rah-guzaron se KHafa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.