dil ki KHalish ko dil se miTaya nahin gaya
dil kī ḳhalish ko dil se miTāyā nahīñ gayā
rishtoñ ke dā.ere ko baḌhāyā nahīñ gayā
ab aap hī batā.iye tā'mīr kyā kareñ
malbe ko darmiyāñ se haTāyā nahīñ gayā
karte haiñ tīrgī ko miTāne kī baat vo
jin se kabhī charāġh jalāyā nahīñ gayā
un ke liye to peḌ kā matlab hī shāḳh hai
jin ko patā jaḌoñ kā batāyā nahīñ gayā
bachchoñ ne rakh dī shart buḌhāpe meñ kaam kī
māñ-bāp se ye bojh uThāyā nahīñ gayā
ummīd kar rahe haiñ ki bargad nasīb ho
paudhā bhī ek jin se lagāyā nahīñ gayā
munsif ne faisla bhī kiyā muddatoñ ke baa'd
is par nayā sitam ki batāyā nahīñ gayā
dil ki KHalish ko dil se miTaya nahin gaya
rishton ke daere ko baDhaya nahin gaya
ab aap hi bataiye ta'mir kya karen
malbe ko darmiyan se haTaya nahin gaya
karte hain tirgi ko miTane ki baat wo
jin se kabhi charagh jalaya nahin gaya
un ke liye to peD ka matlab hi shaKH hai
jin ko pata jaDon ka bataya nahin gaya
bachchon ne rakh di shart buDhape mein kaam ki
man-bap se ye bojh uThaya nahin gaya
ummid kar rahe hain ki bargad nasib ho
paudha bhi ek jin se lagaya nahin gaya
munsif ne faisla bhi kiya muddaton ke ba'd
is par naya sitam ki bataya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.