dil ki KHalwat se zaban tak ka safar kis ne kiya
dil kī ḳhalvat se zabāñ tak kā safar kis ne kiyā
dard ke aks-e-gurezāñ ko amar kis ne kiyā
muskurā kar zaḳhm khāne kī binā kis ne rakhī
talḳhiyoñ ko ziist se shīr-o-shakar kis ne kiyā
tum ne yā ham ne likhe paiġhām fasl-e-gul ke naam
ḳhushbuoñ ko gulsitāñ meñ nāma-bar kis ne kiyā
kyā ye is be-dast-o-pā andhe sadaf kā kaam hai
buuñd ko paanī kī zulmat meñ guhar kis ne kiyā
kis ne māh-e-nau kī Daalī paañv meñ beḌī mire
shaam ke manzar ko merā ham-safar kis ne kiyā
peḌ ko kis ne hilāyā hai ki uḌte haiñ parind
zehn meñ Thahre huoñ ko dar-ba-dar kis ne kiyā
zalzaloñ ne yā jabīñ ghiste hue sailāb ne
rafta-rafta ghar kī buniyādoñ meñ ghar kis ne kiyā
kis ne chhoḌā āsmāñ tak lā ke patthar kī tarah
maiñ parinda thā mujhe be-bāl-o-par kis ne kiyā
dil ki KHalwat se zaban tak ka safar kis ne kiya
dard ke aks-e-gurezan ko amar kis ne kiya
muskura kar zaKHm khane ki bina kis ne rakhi
talKHiyon ko zist se shir-o-shakar kis ne kiya
tum ne ya hum ne likhe paigham fasl-e-gul ke nam
KHushbuon ko gulsitan mein nama-bar kis ne kiya
kya ye is be-dast-o-pa andhe sadaf ka kaam hai
bund ko pani ki zulmat mein guhar kis ne kiya
kis ne mah-e-nau ki Dali panw mein beDi mere
sham ke manzar ko mera ham-safar kis ne kiya
peD ko kis ne hilaya hai ki uDte hain parind
zehn mein Thahre huon ko dar-ba-dar kis ne kiya
zalzalon ne ya jabin ghiste hue sailab ne
rafta-rafta ghar ki buniyaadon mein ghar kis ne kiya
kis ne chhoDa aasman tak la ke patthar ki tarah
main parinda tha mujhe be-baal-o-par kis ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.