dil ki kuduraten agar insan se dur hon
dil kī kudūrateñ agar insāñ se duur hoñ
saare nifāq gabr o musalmāñ se duur hoñ
nazdīk aa chukī hai savārī bahār kī
barg-e-ḳhizāñ-rasīda gulistāñ se duur hoñ
dil is qadar gudāz hai barsoñ hī ġham rahe
aañsū jo apne dīda-e-giryāñ se duur hoñ
miTtā nahīñ navishta-e-qismat kisī tarah
jauhar kabhī na ḳhanjar-e-burrāñ se duur hoñ
fasl-e-bahār aa.ī hai kapḌoñ ko phāḌiye
dil ke buḳhār dast-o-garebāñ se duur hoñ
chhiḌkāv kā irāda hai chashm-e-pur-āb kā
gard-o-ġhubār kūcha-e-jānāñ se duur hoñ
ye tañg kar rahā hai to uljhā rahe haiñ vo
dāman ke paaT pahle garebāñ se duur hoñ
vahsh o tuyūr ko mirī aa.heñ kareñ halāk
āb-o-giyāh koh-o-bayābāñ se duur hoñ
mumkin nahīñ najāt asīrān-e-ishq ko
ye qaidī vo nahīñ ki jo zindāñ se duur hoñ
muddat ke ba.ad aa.e haiñ sahrā meñ ai junūñ
do aable to ḳhār-e-muġhīlāñ se duur hoñ
gardish se chashm-e-yār ke 'ātish' ajab nahīñ
jo jo amal ki gardish-e-daurāñ se duur hoñ
dil ki kuduraten agar insan se dur hon
sare nifaq gabr o musalman se dur hon
nazdik aa chuki hai sawari bahaar ki
barg-e-KHizan-rasida gulistan se dur hon
dil is qadar gudaz hai barson hi gham rahe
aansu jo apne dida-e-giryan se dur hon
miTta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah
jauhar kabhi na KHanjar-e-burran se dur hon
fasl-e-bahaar aai hai kapDon ko phaDiye
dil ke buKHar dast-o-gareban se dur hon
chhiDkaw ka irada hai chashm-e-pur-ab ka
gard-o-ghubar kucha-e-jaanan se dur hon
ye tang kar raha hai to uljha rahe hain wo
daman ke paT pahle gareban se dur hon
wahsh o tuyur ko meri aahen karen halak
aab-o-giyah koh-o-bayaban se dur hon
mumkin nahin najat asiran-e-ishq ko
ye qaidi wo nahin ki jo zindan se dur hon
muddat ke baad aae hain sahra mein ai junun
do aable to KHar-e-mughilan se dur hon
gardish se chashm-e-yar ke 'atish' ajab nahin
jo jo amal ki gardish-e-dauran se dur hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.